23 May 2013

Tumhe hum yaad rakhte hain


tumhe hum yaad rakhte hain

tumhari yaad se dil ka nager abaad rakhte hain

tera mehtab chehra or gehri jheel si ankhien

teri zulfeen,haseen palkien,tera lehja

tera wo khilkhilanaaur kisi bhi baat pe hassna


wo phir kuch sochna os socch ker gum sum sa ho jana

khiyalon aur khawboon men humare sath rehta hai

tumhe hum sath rakhte hain

tumhey hum yaad rakhte hain

tumhari yaad se dil ka nager abaaad rakhte hain
kisi ke sath chalna ho kisi se baat karni ho

kisi ko pyar se takna kisi bhi phool ka khilna

koi bhi geet gatey hoon

koi bhi shair parhte hoon

tumhe bhi sath rakhte hain

tumhari yaad se dil ka nager abaaad rakhte hain
mager jab raat hotti hai

teri hi baat hotti hai

wahan aik chand hota hai

tera ye phool sa chehra

mujhe chanda main damkta hai

fizaon main hawaon main

teri khushboo bikharti hai

tumhe hum yaad rakhte hain

tumhari yaad se dil ka nager abaaad rakhte hain

0 comments: