23 May 2013

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum


Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko 

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain 

Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain


Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay 

Aik saath hum mil ker raha kertey thay

Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain

Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay 

Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay

Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai 

Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain 

Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko.

0 comments: